Top 5 Best Gas Geyser in India 2020

Hello Viewers, Day by day electricity ki Cost badhti jaa rhi hai. Normally log Electrical geysers purchase karte the but electric geyser ka electricity consumption jayda hone ke karan kam use karna padta hai. Ab aapke saamne electric geyser ke alawa accha option hai jo ki ek Gas Geyser hai. Gas geyser na kewal aapki electricity cost bachata hai balki ye geyser electric geyser se sasta market me available hai.

Ek best gas geyse electric water heater se ek tihaai bijali ke saving karta hai. Gas geyser ko chlaane ke liye LPG ki jaroorat padti hai. Agar Elecricity ke mukaable dekha jaaye to LPG kaafi sasti padti hai.

Gas geyser me aapko ek aur benifit milta hai. Agar aapko garam paani chaaiye to electric geyser ki trha gas geyser ko paani garam karne ke liye phle se ON nhi karna padta hai. Jab bhi aapko paani ki jaroorat hoti hai usi time par water tap ko open kariye aur garam paani mil jata hai. Aur electric geyser me aapko kam se kam 10 se 15 minute phle geyser ko ON karna padega.

Is post me hum aapko 2020 ke Top 5 Best Gas Geyser btaane wale hai. Jo ki humne aaj ke time ki technology, safety, features etc. ko dekhte hue best water heater select kiye hai.

Top 5 Best gas geyser btaane se phle hum aapko inme se sabse best 3 geysers ko uper me daal denge. Taaki aap unko asaani se khareed sake. Baaki geyser ki specifications aap neeche padha sakte hai.

Note: If you are looking for best instant geyser then you can go on Best Instant Geyser in India 2020

Top 5 Best Gas Geyser in India 2020

  1. LONGWAY Decora 7 Litre LPG Instant Gas Geyser
  2. ACTIVA Instant Aqua Gold Gas Geyser
  3. LONGWAY® Xolo Gold Premium 7 Litre Instant LPG Gas Geyser
  4. V-Guard 6 L Safeflo Plus Gas Geyser
  5. DIGISMART Instant Aqua Gold LPG Gas Water Heater

1. LONGWAY Decora 7 Litre LPG Instant Gas Geyser



Longway ki traf se aane wala Decora model jo ki 7 litre water heating capacity me milta hai. Isme aapko Fully Auto Matic Japanese Technology dekhne ko milti hai.

Agar koi bhi LPG Gas geyser aapko buy karna hai to Safety features ka jaroor dhyaan dena chaaiye. So safety ke hisaab se ye ek perfect geyser hai. Isme Overheating safety system diya gaya hai. Saath hi isme aapko flame failure protectioin bhi dekhne ko milta hai.

Ye geyser aapko 75% Electric geyser se sasta padta hai. Aur Isme acchi quality ke heat exchanger hone ke karan 30% se jayda ki gas saving bhi hoti hai.

Agar iske look aur body structure ki baat ki jaaye to dekhne me ek attractive look humko milta hai. Iska container pure copper ka bna hua hai jo ki iski efficiency aur durability ko increase karta hai.

Agar aap height wali building me rhate hai. Jha par paani ka pressure kaafi jayada hota hai. Is geyser ko aap asaani se yha par use kar paayenge. Kyonki isko high pressure and low pressure dono ke liye design kiya gya hai.

Brand : Longway
Model : Decora
Type : Gas Geyser
Capacity : 7 litres/ Minutes

2. ACTIVA Instant Aqua Gold Gas Geyser



Activa ki traf se aane wala Instant Aqua Gold gas geyser jo ki aapko 6 litre water heating capacity me milta hai. Activa ka ye Water Heater Fully Auto Matic Japanese Technology ke saath ata hai.

Isme safety features ki baat kare to Flame failure protection diya gya hai. Overheating protection bhi isme dekhne ko milta hai.

Isme aapko Summer & Winter both selection karne ke liye option milta hai. Jisse Winter me aap quick water heating ko use kar sakte hai. Saath hi water flow ko adjust karne ke liye rotatig knob diya gya hai.

Agar iski body construction ko dekhe to isme pure copper container ka istemaal hua hai. Jo ki Gas Geyser ki durability ko increase karta hai.

Pricing ki baat kare to ye gesyer Electric Geyser se 75% cheap price me milta hai. Aur 30% tak ki gas saving bhi karta hai. Overall pricing me kaafi sasta aur accha geyser pad jaayega.

Brand : Activa
Model : Aqua
Type : Gas Geyser
Capacity : 6 litres/ Minutes
Star Rating : 5

3. LONGWAY® Xolo Gold Premium 7 Litre Instant LPG Gas Gas Geyser



Humaari top 5 best gas geyser ki list me ye ek aur bes gas geyser hai Jo ki Longway ki traf se aata hai. Longway Xolo Gold water heater aapko 7 litre water heating ki capacity me milta hai.

5 Safety feaures : Cut Off, Safety Valve, Flame Failure protection, 20 Minutes timer, Auto Shut-off isme dekhne ko milta hai.

Agar isme latest technology dekhe to isme Fully Auto Matic Japanese Technology dekhne ko milti hai.

Extra large burner diya gya hai jisse quick heating milti hai.

Iske body design ki baat kare to iska container pure copper material ka bna hua hai. Jisse gas geyser ki durability kaafi hadd tak increase ho jaati hai.

Iske saath hi isme water flow adjustment, LPG gas adjustment rotating knob diya gya hai. Jisse aap asaani se water flow aur gas ke flow ko adjust kar sakte hai.

Brand : LONGWAY
Model : Xolo Gold Premium
Type : Gas Geyser
Capacity : 7 litres/ Minutes

4. V-Guard 6 L Safeflo Plus Gas Geyser



V-Guard ki traf se aane wala Safeflo plus model ka ye geyser 6 litre water heating capacity me aata hai. Automated ignition system and ultra-low pressure application ka isme feature dekhne ko milta hai.

Safety point of views se dekha jaaye to isme double solenoid valve lage hue hai. Jisse gas passing ka issue nhi rhata. 20 Minutes gas flow cut-off timer isme dekhne ko milta hai. Jisse 20 minutes ke baad automatic gas flow cut ho jata hai.

High pressure protection ke liye Pressure relief valve (PRV) diya gya hai. Geyser ke pressure jayda hone par kisi bhi haadse se bachane ke liye PRV diya jata hai. Taaki pressure bhadne par PRV pressure ko release kar sake.

Summer and Winter selection bhi diya gya hai. Taaki aap weather ke hisaab se adjuting knob se adjust kar sakte. Isse geyser ki efficiency increase hoti hai.

Geyser ki durability bhdane ke liye iske heat exchanger ko pure copper se bnaya gya hai.

Brand : V-Guard
Model : Safeflo plus
Type : Gas Geyser
Capacity : 6 litres/ Minutes
Star Rating : 5

5. DIGISMART Instant Aqua Gold LPG Gas Water Heater



DIGISMART ki traf se Aqua gold jo ki Fully Auto Matic Japnese Technolodgy ke saath aata hai. Jo ki hume 6 litre per minutes water heating capacity me milta hai.

5 Safety feaures : Cut Off, Safety Valve, Flame Failure protection, 20 Minutes timer, Auto Shut-off isme dekhne ko milta hai.

Ye gas geyser Electric geyser se 75% sasta aata hai. Aur 30% tak Gas saving bhi karta hai.

High pressure protection ke liye Pressure relief valve (PRV) diya gya hai. Geyser ke pressure jayda hone par kisi bhi haadse se bachane ke liye PRV diya jata hai. Taaki pressure bhadne par PRV pressure ko release kar sake.

Summer and Winter selection bhi diya gya hai. Taaki aap weather ke hisaab se adjuting knob se adjust kar sakte. Isse geyser ki efficiency increase hoti hai.

Iske saath hi isme water flow adjustment, LPG gas adjustment rotating knob diya gya hai. Jisse aap asaani se water flow aur gas ke flow ko adjust kar sakte hai.

Brand : DIGISMART
Model : Aqua Gold
Type : Gas Geyser
Capacity : 6 litres/ Minutes
Star Rating : 5

Friends, Is post me humne Top 5 Best Gas Geysers in India ki list btaai hai. Asha karta hu ki aap ek best gas geyser is post ko read karne ke baad jaroor purchase kar paooge.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post